jab kabhi shor-e-jahan hota hai
mere hone ka guman hota hai
jabr hai mujh pe nizam-e-fitrat
mujh pe har lamha giran hota hai
subah hoti nahin pahle jaisi
shab-giraftar saman hota hai
dhund men khote hain manzar saare
pech dar pech dhuan hota hai
shaam ta-sub.h charaghan kar ke
dasht men nauha-e-jan hota hai
vaqt phailata hai daman apna
aag ka dariya ravan hota hai
mujh ko azad kar ai danish-e-nau
dil giraftar-e-butan hota hai
Leave a Reply