chhup ke duniya se savad-e-dil-e-ḳhamosh men aa
aa yahan tu miri tarsi hui aghosh men aa
aur duniya men kahin tera Thikana hi nahin
ai mire dil ki tamanna lab-e-ḳhamosh men aa
mai-e-rangin pas-e-mina se ishare kab tak
ek din saghar-e-rindan-e-bala-nosh men aa
ishq karta hai to phir ishq ki tauhin na kar
ya to behosh na ho ho to na phir hosh men aa
tu badal de na kahin jauhar-e-insan ka bhi rang
ai zamane ke lahu dekh na yuun josh men aa
dekh kya daam lagati hai nigah-e-‘mulla’
kabhi ai ghuncha-e-tar dast-e-gul-afrosh men aa
Leave a Reply