• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Barhaman But-Kade Ke Shaikh Baitullah Ke Sadqe

Barhaman But-Kade Ke Shaikh Baitullah Ke Sadqe

sauda-mohammad-rafi

barhaman but-kade ke shaikh baitullah ke sadqe

kahen hain jis ko ‘sauda’ vo dil-e-agah ke sadqe

jata den jis jagah ham qadr apni na-tavani ki

agar kohsar vaan hove to jaave kaah ke sadqe

na de taklif jalne ki kisu ke dil ko mere par

asar se duur rahti hain main apni aah ke sadqe

ajaib shaghl men the raat tum ai shaikh rahmat hai

main us rish-e-buland aur daman-e-kotah ke sadqe

nahin be-vajh kuche se tire uthna bagule ka

hamari khaak bhi jaati hai teri raah ke sadqe

kabhu vo shab bhi ai parvana haq baham dikhavega

tu bal bal shama par jaave main huun us maah ke sadqe

dikhati hai tujhe kis kis tarah ‘sauda’ ki nazron men

jo ho insaf to jaave tu us ki chaah ke sadqe

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Raat Aadhi Hai Baat Puri Hai

Aarzu Le Ke Koi Ghar Se Nikalte Kyun Ho

Badan Ki Qabr Mein KHwabon Ki Lash Hai Main Hun

bahadur-shah-zafar

Na daim Gham Hai Ne Ishrat Kabhi Yun Hai Kabhi Wun Hai

Zalzala Aaya Wo Dil Mein Waqt Ki Raftar Se

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet