mujh ko auron se koi shikva nahin
main ne bhi to ḳhud ko pahchana nahin
sar pe aa pahuncha hai suraj karb ka
saath apne saaya bhi apna nahin
shauq-e-manzil hi hai mera ḳhizr-e-rah
naqsh-e-pa har moḌ par milta nahin
ho gaya ḳhun-e-hayat ab yuun safed
jaise mera is se kuchh rishta nahin
hai ḳhayal-e-ḳham vo main ne jise
pairahan alfaz ka baḳhsha nahin
ab hai chehron par naqab-e-maslahat
koi chehra dil ka a.ina nahin
kyuun na ho sho.ala-ba-daman zindagi
kis taraf ab aag ka dariya nahin
phuul ki ik pankhuḌi kahiye use
zindagi ik barg-e-avara nahin
zehn-e-‘shibli’ men hai us ki guunj bhi
vaqt ke honTon pe jo naghma nahin
Leave a Reply