janch-parakh kar dekh chuki tu har munh-bole bhaai ko
kahne de ab koi sachchi baat ‘qatil-shifai’ ko
kar diya bilkul apne jaisa mujh ko andhe cupid ne
apni shohrat jaan raha huun main apni rusvai ko
shohrat chahe kaisi bhi ho log tavajjoh dete hain
laakh hasin milte hain ab tak mujh jaise harjai ko
ghabrai kyuun baithi hai ab gham-khvaron ke narghe men
le aai hai mahfil men jab tu apni tanhai ko
sab ko sunae qisse tu ne jis ki dhoke-bazi ke
us jaisa hi paegi tu apne har shaidai ko
sab se hans kar milne vaali kis ne tujh ko samjha hai
naap rahe hain muft men log samundar ki gahrai ko
pagal-pan to dekho jis din doli uthne vaali thi
apne haath se tod diya ik dulhan ne shahnai ko
kyuun auron ke naam se chhapvata hai apne sher ‘qatil’
yuun barbad kiya nahin karte apni nek kamai ko
Leave a Reply