kahan kahan tiri rangini-e-shabab nahin
mira mazaq-e-nazar phir bhi kamyab nahin
kisi nazar men tumhen dekhne ki taab nahin
naqab-e-ruḳh bhi ulaT do to be-naqab nahin
vo sun ke arz-e-tamanna ko ho ga.e ḳhamosh
mire saval ka shayad koi javab nahin
kuchh aur mast nigahon se dekh ai saaqi
ba-qadr-e-zarf abhi nashsha-e-sharab nahin
baḌe-baḌon ke qadam Dagmaga ga.e hain yahan
ye imtihan ka ik daur hai shabab nahin
ḳhamosh baiThe hain jo pi chuke hain ḳhum ke ḳhum
bahak rahe hain jo aluda-e-sharab nahin
tumhari hasrat-e-didar barqarar rahe
hazar saal bhi guzrin to kuchh hisab nahin
lagi hui hain tumhari taraf miri ankhen
miri nazar men zamane ka inqalab nahin
khuli hui tire aane ke intizar men hain
ḳhusha-nasib vo ankhen jo mahv-e-ḳhvab nahin
main apne dost se kya mujtanib huun ai ‘shankar’
mujhe to apne adu se bhi ijtinab nahin
Leave a Reply