• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kaun Guman Yaqin Bana Kaun Sa Ghaw Bhar Gaya

Kaun Guman Yaqin Bana Kaun Sa Ghaw Bhar Gaya

pirzada-qasim

kaun guman yaqin bana kaun sa ghaav bhar gaya

jaise sabhi guzar gae ‘jaun’ bhi kal guzar gaya

us ka charagh-e-vasl to hijr se rabte men tha

vo bhi na jal saka udhar ye bhi idhar bikhar gaya

ziist ki raunaqen tamam us ki talash men rahin

aur vo gham-nazhad ‘jaun’ kis ko khabar kidhar gaya

gam-ba-gam ik bahisht aur vo us ki ek hasht

raah men bhi ruka nahin aur na apne ghar gaya

rasm-e-supurdagi ko kab darkhur-e’tina kaha

khud se jo tha gurez-pa sab se gurez kar gaya

us ke sukhan ka moajiza us ki nahin men dekhiye

haan bhi hai majra magar ‘jaun’ kahan udhar gaya

us ko tha sakht ikhtilaf ziist ke matn se so vo

bar-sar-e-hashiya raha aur kamal kar gaya

us ke khayal ki numud ahd-ba-ahd javedan

bas ye kaho ki ‘jaun’ hai ye na kaho ki mar gaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Zindagi kaT Gai Sarabon Mein

Hawa Baaton Ki Jo Chalne Lagi Hai

Tere KHayal Ke Jab Shamiyane Lagte Hain

abul-hasanat-haqqi

Buland-O-Past Ka Har-dam Khayal Rakhna Hai

poet

Mujh Mein Aabaad Sarabon Ka Ilaqa Karne

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet