ham aa.ine men javani talash karte rahe
mohabbaton ki kahani talash karte rahe
hamare dil pe ajab iztirab taari raha
nazar nazar men kahani talash karte rahe
shu.ur maazi ke karb-o-bala men uljha raha
sharab ham bhi purani talash karte rahe
hamare azm ki buniyad kitni gahri thi
vo ik ghaḌi thi suhani talash karte rahe
nasihaton ka asar ham pe ḳhaak bhi na hua
kisi ki baat na maani talash karte rahe
tire firaq men rona bahut zaruri tha
ham apni aankh men paani talash karte rahe
tumhare qurb ke mausam kidhar ga.e ‘tariq’
kidhar ga.i vo javani talash karte rahe
Leave a Reply