• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Nichi Nazron Ke War Aane Lage

Nichi Nazron Ke War Aane Lage

meer-mehdi-majrooh

nichi nazron ke vaar aane lage

lo bas ab jan-o-dil thikane lage

meri nazron ne kya kaha yarab

kyuun vo sharma ke muskurane lage

maslahat tark-e-jaur tha chande

phir usi hathkandon pe aane lage

jalva-e-yar ne kiya be-khud

ham to aate hi un ke jaane lage

sab ka kaaba hai manzil-e-maqsud

ham to aage qadam badhane lage

kya kahin amad-e-bahar hui

kyuun gareban pe haath jaane lage

gar haqiqat-nigar ho chashm to vo

jalva har rang men dikhane lage

ham ko rabt-e-guzishta yaad aae

vo jo ban-than ke ghar se jaane lage

bas yahi ghayat-e-tasavvur hai

hijr men lutf-e-vasl aane lage

us sarapa bahar ke jalve

rang kuchh aur hi na khane lage

kyuun ki fursat adu se tum ko mili

jo tasavvur men mere aane lage

be-ghiza ke to rah nahin sakte

na mila kuchh to zahar khane lage

baat banti nazar nahin aati

ab vo baten bahut banane lage

aaj ‘majruh’ zabt kar na saka

kya kare jab ki jaan jaane lage

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Tumhaari Chashm Ne Mujh Sa Na Paya

Hum Bikhar Jaenge Naghmon-Bhare KHwabon Ki Tarah

Hain Des-Bides Ek Guzar Aur Basar Mein

Faisla Hijr Ka Manzur Bhi Ho Sakta Hai

Tasalsul Se Guman Likkha Gaya Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet