gham-e-afaq hai rusva gham-e-dil-bar ban ke
tohmat-e-ishq lagi ham pe suḳhan-var ban ke
vo nahin maut sahi maut nahin niind sahi
koi aa jaa.e shab-e-gham ka muqaddar ban ke
rahbar tum ko banaya hamen malum na tha
rah-rau raah bhaTak jaate hain rahbar ban ke
is ziyan-ḳhane men ik qatre pe kya kya guzri
kabhi aansu kabhi shabnam kabhi gauhar ban ke
maut ki niind ke maton pe na kyuun rashk aa.e
jagna hai unhen hangama-e-mahshar ban ke
yaad phir aa ga.iin bhuli hui baten kya kya
phir mulaqat hui aise muqaddar ban ke
aah ye uqda-e-gham bazm-e-tarab men bhi ‘hafiz’
bar-ha aankh chhalak jaati hai saghar ban ke
Leave a Reply