kya buri tarah bhaun matakti hai
ki mire dil men aa khatakti hai
zulf ki shaan mukh upar dekho
ki goya arsh men latakti hai
ab talak garche mar gaya farhad
ruuh patthar siin sar latakti hai
dil kababon men kaun kachcha hai
ishq ki aag kyuun chatakti hai
‘abru’ ja pahunch ki pyasi zulf
nagani ki tarah bhatakti hai
Leave a Reply