• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tut Jaane Mein Khilaunon Ki Tarah Hota Hai

Tut Jaane Mein Khilaunon Ki Tarah Hota Hai

abbas-tabish

tuut jaane men khilaunon ki tarah hota hai

aadmi ishq men bachchon ki tarah hota hai

is liye mujh ko pasand aata hai sahra ka sukut

is ka nashsha tiri baton ki tarah hota hai

ham jise ishq men dete hain khuda ka mansab

pahle pahle hamen logon ki tarah hota hai

jis se banna ho taalluq vahi zalim pahle

ghair hota hai na apnon ki tarah hota hai

chandni-rat men sadkon pe qadam mat rakhna

shahr jaage hue nagon ki tarah hota hai

bas yahi dekhne ko jagte hain shahr ke log

asman kab tiri ankhon ki tarah hota hai

us se kahna ki vo savan men na ghar se nikle

hafiza ishq ka sanpon ki tarah hota hai

us ki ankhon men umad aate hain aansu ‘tabish’

vo juda chahne valon ki tarah hota hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Teri Nigah Ka Andaz Kya Nazar Aaya

Tamam Raat Hawa chiKHti Rahi Ban Mein

poet

Jo Chahun Bhi to Ab KHud Ko Badal Sakta Nahin Hun

Jis Se Bezar Rahe the Wahi Dar Kya Kuchh Hai

Dasht-Dar-Dasht Phira Karta Hun Pyasa Hun Main

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet