kisi qatil se na talvar se Dar lagta hai
aaj kya baat hai darbar se Dar lagta hai
ḳhud ko oḌhe hue baiTha huun kisi goshe men
har taraf shorish-e-bisyar se Dar lagta hai
sochta huun ki kahan Tek laga kar baiThun
mujh ko ḳhud apni hi divar se Dar lagta hai
TuuT jaa.e na kisi aan tasalsul us ka
kyuun mujhe saans ki takrar se Dar lagta hai
main ne qatil ka ada rol kiya hai ‘hamdam’
kyuun mujhe apne hi kirdar se Dar lagta hai
Leave a Reply