haal kuchh ab ke juda hai tire divanon ka
shahr men Dher na lag jaa.e garebanon ka
ye mira zabt hai ya teri ada ki tahzib
rang ankhon men jhalakta nahin armanon ka
mai-kade ke yahi adab hain rindo sun lo
gham nahin karte hain TuuTe hue paimanon ka
saans lene ko koi ….aur Thikana DhunDo
shahr jangal sa hua jaata hai insanon ka
ab haqiqat ki tahon tak koi kaise pahonche
ek tufan bapa hai yahan afsanon ka
Leave a Reply