muusa samjhe the arman nikal ja.ega
ye ḳhabar hi na thi tuur jal ja.ega
meri balin pe rone se kiya fa.eda
kya miri maut ka vaqt Tal ja.ega
kya ayadat ko us vaqt aaoge tum
jab hamara janaza nikal ja.ega
kam-sini men hi kahti thi teri nazar
tu javan ho ke ankhen badal ja.ega
sab ko duniya se jaana hai ik din ‘qamar’
rah gaya aaj koi to kal ja.ega
Leave a Reply