sajda aur un ke astane ka
hausla dekhiye zamane ka
azma.enge dhaar ḳhanjar ki
ye bahana hai ḳhuun bahane ka
dil-e-sada ki sadgi dekho
e’tibar aur phir zamane ka
kis maze se qafas men ahl-e-qafas
zikr sunte hain ashiyane ka
saath chalna hai jab zamane ke
shikva kyuun kijiye zamane ka
vo zamana abhi nahin aaya
ḳhvab dekha tha jis zamane ka
tum ḳhud ahl-e-nazar ho ai ‘sarshar’
rang dekha karo zamane ka
Leave a Reply