sadiyon ki shab-e-gham ko sahar ham ne banaya
zarrat ko ḳhurshid o qamar ham ne banaya
taḳhliq andheron se kiye ham ne ujale
har shab ko ik aivan-e-sahar ham ne banaya
barfab ke siine men kiya ham ne charaghan
har mauja-e-dariya ko sharar ham ne banaya
shabnam se nahin, rang diya dil ke lahu se
har ḳhaar ko barg-e-gul-e-tar ham ne banaya
har ḳhaar ke siine men chaman ham ne khila.e
har phuul ko firdaus-e-nazar ham ne banaya
raftar ko khilte hue ghunchon ki sada di
har gaam ko ik ḳhuld-e-nazar ham ne banaya
har ruḳh se tire husn ki zau phuuT rahi hai
kya zaviya-e-fikr-o-nazar ham ne banaya
ashkon ko shafaq-rang kiya ḳhun-e-jigar se
kya ghaza-e-ruḳhsar-e-sahar ham ne banaya
Dhalte hain jahan bada-e-tajdid ke saghar
vo mai-kada-e-fikr-o-nazar ham ne banaya
Leave a Reply