ajab shikast ka ehsas dil pe chhaya tha
kisi ne mujh ko nishana nahin banaya tha
usi nigah ne ankhon ko kar diya patthar
usi nigah men sab kuchh nazar bhi aaya tha
yahan to ret hai patthar hain aur kuchh bhi nahin
vo kya dikhane mujhe itni duur laaya tha
ulajh gaya huun kuchh aisa ki yaad bhi to nahin
ye vahm pahle-pahal kaise dil men aaya tha
vo main nahin tha tumhari taraf sarakta hua
havas ne tirgi ka fa.eda uThaya tha
bichhaḌna itna hi asan tha agar us se
to ḳhud-kushi ka ye saman kyuun juTaya tha
gila to aaj bhi sachcha.i hai magar ‘shariq’
ye jhuuT us se men pahle hi bol aaya tha
Leave a Reply