parda-e-husn-e-zāt meñ anjuman-e-sifāt meñ
mere sivā hai aur kaun sīna-e-kā.enāt meñ
farsh kī vus.ateñ bhī gum arsh kī rif.ateñ bhī jazb
mere taḳhaiyyulāt meñ mere tasavvurāt meñ
naġhma-e-be-sadā huuñ maiñ nāz-e-girah-kushā huuñ maiñ
sham.a-e-rah-e-hudā huuñ maiñ zulmat-e-shash-jihāt meñ
merī hī fitrat-e-qadīm sarhad-e-lā-makāñ se duur
merā hī naqsh-e-nā-tamām qaid-e-ta.a.īnāt meñ
mere vajūd-e-ḳhās se silsila-e-fanā-baqā
mujh se hī raunaq-e-tamām bazm-e-tajalliyāt meñ
merī hī fikr-e-maḳhfī-o-mashq-e-nazar ke faiz se
jazb-o-kashish kī quvvateñ hastī-e-be-sabāt meñ
‘ārzū’ apne raaz ko samjhā huuñ maiñ bas is qadar
mujh meñ hijāb-e-zāt hai maiñ huuñ hijāb-e-zāt meñ