kabhi sarab karega kabhi ghubar karega
ye dasht-e-jan hai miyan ye kahan qarar karega
abhi ye biij ke manind phuTta hua dukh hai
bahut dinon men koi shakl iḳhtiyar karega
ye ḳhud-pasand sa gham hai so ye umiid bhi kam hai
ki apne bhed kabhi tujh pe ashkar karega
tamam umr yahan kis ka intizar hua hai
tamam umr mira kaun intizar karega
nashe ki tarah mohabbat bhi tark hoti nahin hai
jo ek baar karega vo baar baar karega
Leave a Reply