baat jo tujh se zabani ho gai
kuchh haqiqat kuchh kahani ho gai
be-sabab phirti nahin hai raah men
shahr ki ladki siyani ho gai
raat phir pagal hava ke shor men
ziist meri dastani ho gai
roz kahte hain magar kahte nahin
zindagi apni kahani ho gai
baat apne shahr ki kuchh to kaho
qatilon ki pasbani ho gai
kis liye be-kaif ho ‘adil’-hayat
khatm kya saari kahani ho gai
Leave a Reply