
Poet
do-jahan ke husn ka arman aadha rah gaya
is sadi ke shor men insan aadha rah gaya
har ibadat-gah se unchi hain mil ki chimniyan
shahr men har shaḳhs ka iman aadha rah gaya
main to ghabraya hua tha ye bahut achchha hua
yaad un ki aa ga.i tufan aadha rah gaya
phuul mahke rang chhalke jhiil par ham tum mile
baat hai ye ḳhvab ki ruman aadha rah gaya
tum ko aana tha nahin aa.e kaho main kya karun
asman par chand sa mehman aadha rah gaya
kyuun hai itni tez-rau batla miri umr-e-ravan
zindagi ki raah ka saman aadha rah gaya
muḳhtasar sa likh diya ‘asrar’ ne un ko javab
ḳhat mila par aap ka ehsan aadha rah gaya

Leave a Reply