
Iftikhar Naseem
saza hi di hai duaon men bhi asar de kar
zaban le gaya meri mujhe nazar de kar
ḳhud apne dil se miTa di hai ḳhvahish-e-parvaz
uḌa diya hai magar us ko apne par de kar
nikal paḌe hain sabhi ab panah-gahon se
guzar ga.i hai siyah shab gham-e-sahar de kar
use main apni safa.i men kya bhala kahta
vo puchhta tha jo mohlat bhi muḳhtasar de kar
pukarta huun ki tanha main rah gaya huun ‘nasim’
kahan gaya hai vo mujh ko miri ḳhabar de kar

Leave a Reply