vo pari-zad hai ye sab ko dikhana tha mujhe
sirf ik baar use haath lagana tha mujhe
ye to mera hi hunar tha jise iz.har mila
varna murshid ne kahan ism sikhana tha mujhe
is liye bhi main bahut der se pahuncha tujh tak
apne qadmon ka har ik naqsh miTana tha mujhe
apni tairaki bhi karni thi sabhi par sabit
aur phir ḳhud ko bhi lahron se bachana tha mujhe
main kahani ko sunate hue ḳhud hi roya
jab ki qisse ke muḳhatab ko rulana tha mujhe
ek hi ashk bacha rakha tha main ne aḳhir
aur usi ashk ko din raat bahana tha mujhe
meri shohrat ke taqaze hi alag the ‘tabish’
gum-shuda rahte hue naam kamana tha mujhe
Leave a Reply