husn-e-fitrat ke amiin qatil-e-kirdar na ban
shohrat-e-gham ke liye raunaq-e-bazar na ban
tarik-e-rasm-e-vafa aur gunahgar na ban
mahram-e-ishq hai to mahram-e-asrar na ban
apni gardan pe machalti hui talvar na ban
nang-e-iman hi sahi surat-e-inkar na ban
bad-gumani ko miri aur baḌha deta hai
un ka ye kahna ki daman-kash-e-aghyar na ban
rahrav-e-manzil-e-hasti huun main ai yad-e-habib
dhuup men mere liye saya-e-divar na ban
dil ko takmil-e-tamanna ka ishara de kar
mujh se tu meri tamanna ka ḳharidar na ban
teri manzil hai ghubar-e-rah-arbab-e-vafa
rahrav-e-rah-e-talab qafila-salar na ban
jin ke daman men tamanna ko sukun milta hai
un ki nazron se mohabbat ka talabgar na ban
vo tiri mast-nigahi ka uḌa lenge mazaq
ahl-e-danish men kabhi bhuul ke hoshiyar na ban
ho na jaa.e kahin masdud tiri rah-e-talab
ai miri lauh-e-jabin sang-e-dar-e-yar na ban
Leave a Reply