ilaj-e-hasrat-e-dil-gir kar raha huun main
muqaddarat ki ta.amir kar raha huun main
tasavvurat ki kirchen sameT kar ek ik
burida ḳhvab ki tafsir kar raha huun main
ki gundh kar mah-e-taban ki zau-fishan kirnen
ilaj-e-zulmat-e-be-pir kar raha huun main
jaga ke fahm ki lau zehn ke darichon men
nae nizam ko tahrir kar raha huun main
ye azm hai ki badal duun main baḳht ka chehra
ba-sad ḳhulus ye tadbir kar raha huun main
hasin raat kiran chand ki hina ki mahak
mila ke ab teri tasvir kar raha huun main
Leave a Reply