• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Zulfon Ke Sae Mein Aa Kar Chain Mila Hai Pahli Bar

Zulfon Ke Sae Mein Aa Kar Chain Mila Hai Pahli Bar

zulfon ke saa.e men aa kar chain mila hai pahli baar

meri pyasi ankhon ne dariya dekha hai pahli baar

pyaar kise kahte hain ye ehsas hua hai pahli baar

mere dil men miTha miTha dard uTha hai pahli baar

mehndi vaali chahat ka paigham mila hai pahli baar

us ne apne haath pe mera naam likha hai pahli baar

pahli baar suna.i di hai dil ke dhaḌakne ki avaz

dekh ke teri bholi surat dil machla hai pahli baar

pahli baar taras aaya hai us ko meri halat par

pyaar ki nazron se vo mujh ko dekh raha hai pahli baar

chand utar aaya hai mere ḳhvabon ki angna.i men

ghunghaT vaali raat ka jaadu dil pe chala hai pahli baar

us ke pyaar men ‘qaisar’ sahab aaj tilak main zinda huun

jis ne mere armanon ko qatl kiya hai pahli baar

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Apne Mehwar Se Jab Utar Jaun

poet

Kyunkar Gali Mein Isko Main Ai Ham-Rahan Rahun

Mera Dil-E-Nashad Jo Nashad Rahega

Ishq-Jai Kahan Se Aai Hai

Baada-KHane Ki Riwayat Ko Nibhana Chahiye

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet