jazba-o-ehsas ki shiddat ka andaza hua
har nafas har saans men chahat ka andaza hua
ḳhvab chehra sard lab ankhon men chingari ki rut
vaqt-e-ruḳhsat dil ki kaifiyyat ka andaza hua
hijr ka mausam jab aa.e vasl ki ḳhushbu khule
faslon ke darmiyan qurbat ka andaza hua
qatra-e-shabnam men dekhun sho.alagi ka madd-o-jazr
sub.h se hi shaam ki surat ka andaza hua
dekh kar atish-ba-jan kuchh muztarib vo bhi hue
un se mil kar dard ki daulat ka andaza hua
Leave a Reply