masti-e-gam bhi thi ghaflat-e-anjam ke saath
do ghaḌi khel liye gardish-e-ayyam ke saath
tishna-lab rahne pe bhi saakh to thi shaan to thi
vaz-e-rindana ga.i ik talab-e-jam ke saath
jab se hangam-e-safar ashkon ke taare chamke
talḳhiyan ho ga.iin vabasta har ik shaam ke saath
ab na vo shorish-e-raftar na vo josh-e-junun
ham kahan phans ga.e yaran-e-subuk-gam ke saath
uḌ chuki hain sitam-araon ki ninden aksar
aap suniye kabhi afsana ye aram ke saath
is men saaqi ka bhi dar-parda ishara to nahin
aaj kuchh rind bhi the va.iz-e-badnam ke saath
ghair ki tarah mile ahl-e-haram ai ‘zaidi’
mujh ko yak-go na aqidat jo thi asnam ke saath
Leave a Reply