use shikast na hone pe maan kitna tha
jo reza reza hua saḳht-jan kitna tha
hai ab dilon men ye dahshat ki sar pe aa na gire
zamin se duur yahi asman kitna tha
main apna zarf bhi dekhun ki us se ranjish par
bhula diya ki vahi mehrban kitna tha
baja hai vus.at-e-duniya magar chhuTa jab ghar
khula ki tang hamin par jahan kitna tha
diye to bujh ga.e bijli ke qumqume na bujhe
hava ko zor pe apne guman kitna tha
jo phuul god se us ki ‘kamal’ chhine ga.e
udaas un ke liye pul-dan kitna tha
Leave a Reply