• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ishq Mein Jis Ke Ye Ahwal Bana Rakkha Hai

Ishq Mein Jis Ke Ye Ahwal Bana Rakkha Hai

ishq men jis ke ye ahval bana rakkha hai

ab vahi kahta hai is vaz.a men kya rakkha hai

le chale ho mujhe is bazm men yaaro lekin

kuchh mira haal bhi pahle se suna rakkha hai

hal-e-dil kaun suna.e use fursat kis ko

sab ko is aankh ne baton men laga rakkha hai

dil bura tha ki bhala kaam vafa ke aaya

yaar jaane bhi de is bahas men kya rakkha hai

ai saba aa ki dikha.en tujhe vo gul jis ne

baton hi baton men gulzar khila rakkha hai

dekh ai dil na kahin baat ye us tak pahunche

chashm-e-namnak ne tufan uTha rakkha hai

husn chahe jise hans bol ke apna kar le

dil ne apnon ko bhi begana bana rakkha hai

dil jo is bazm men aata hai to jaata hi nahin

ek din dekhna divana hua rakkha hai

haal mat puchh mohabbat ka hava hai kuchh aur

la ke kis ne ye sar-e-rah diya rakkha hai

intizam aisa ki ghaTti hi nahin raunaq-e-bazm

ham se kitne hain ki vaade pe laga rakkha hai

hosh to pahle hi kho aa.e the us mahfil men

ab agar jaa.en to phir dil bhi gaya rakkha hai

tere aane ki ḳhabar pa ke abhi se dil ne

shikve ko aur kisi din pe uTha rakkha hai

bar-ha yuun bhi hua teri mohabbat ki qasam

jaan kar ham ne tujhe ḳhud se ḳhafa rakkha hai

dasht o dar ḳhair mana.en ki abhi vahshat men

ishq ne pahla qadam nam-e-ḳhuda rakkha hai

hijr men ranj bhi karte hain pe itna bhi salim

yaar tu ne to ajab haal bana rakkha hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Main Apne Shahr Mein Apna Hi Chehra Kho baiTha

poet

Hamare Haq Mein Dua Karega

poet

Hum Teri Khatir-E-Nazuk Se Khatar Karte Hain

munawwar-rana

Mujhko Gahrai Mein Mitti Ki Utar Jaana Hai

poet

Kisi Udas Aankh Ke Asir Ho Gae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet