kaam kuchh aise kar gaya huun main
apni ankhon ko bhar gaya huun main
zindagi tujh se baat karni hai
zindagi tujh se Dar gaya huun main
ab to main aur bhi bura huun ki
ab ziyada sudhar gaya huun main
us se kah do ki vo nahin ro.e
us se kah do ki mar gaya huun main
zaat puchho to ek sha.ir huun
apni hi zaat par gaya huun main
Leave a Reply