ik ajnabi jo shanasa dikha.i deta hai
na jaane kis liye tanha dikha.i deta hai
tumhare shauq-e-gurezan ka hai samar ye bhi
ki meri aankh men dariya dikha.i deta hai
mujhe bata mere ḳhaliq ki kis ḳhata ke tufail
bujha sa mera sitara dikha.i deta hai
luTi luTi si ye duniya udaas udaas jahan
mire nasib ki patta dikha.i deta hai
hai ujli sub.h ka savera usi ke daman men
vo jis ka pairahan maila dikha.i deta hai
Leave a Reply