aur ishrat ki tamanna kya karen
samne tu ho tujhe dekha karen
mahv ho jaa.en tasavvur men tire
ham bhi apne qatre ko dariya karen
ham ko hai har roz har vaqt intizar
banda-parvar gaah gaah aaya karen
charagar ka chahiye karna ilaaj
us ko bhi apna sa divana karen
un ke aane ka bharosa ho na ho
raah ham un ki magar dekha karen
ham nahin na-vaqif rasm-e-adab
dil ki betabi ko ‘vahshat’ kya karen
Leave a Reply