dariya-e-ashk chashm se jis aan bah gaya
sun lijiyo ki arsh ka aivan bah gaya
bal-be-gudaz-e-ishq ki khuun ho ke dil ke saath
siine se tere tiir ka paikan bah gaya
zahid sharab piine se kafir hua main kyuun
kya dedh chullu paani men iman bah gaya
hai mauj-e-bahr-e-ishq vo tufan ki al-hafiz
bechara musht-e-khak tha insan bah gaya
dariya-e-ashk se dam-e-tahrir hal-e-dil
kashti ki tarah mera qalam-dan bah gaya
ye roe phuut phuut ke paani ke aable
naala sa ek su-e-bayaban bah gaya
tha tu baha men besh par us lab ke samne
sab mol tera lal-e-badakhshan bah gaya
kashti savar-e-umr huun bahr-e-fana men ‘zauq’
jis dam baha ke le gaya tufan bah gaya
tha ‘zauq’ pahle dehli men punjab ka sa husn
par ab vo paani kahte hain multan bah gaya
Leave a Reply