• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Sham-O-Gul Ne Saj to Di Mahfil Teri Tere Baghair

Sham-O-Gul Ne Saj to Di Mahfil Teri Tere Baghair

sham-o-gul ne saj to di mahfil tiri tere baghair

vo rahi apni jagah jo thi kami tere baghair

amad-o-raft-e-nafas dushvar thi tere baghair

ek nashtar sa chubha jab saans li tere baghair

ho ga.iin thiin sab bhali baten buri tere baghair

haan magar achchhi hui to sha.iri tere baghair

haa.e dil jis ki umangen thiin baharen baagh ki

vo miri jannat jahannam ban ga.i tere baghair

tha bahut mumkin ki bach jaati gham-e-duniya se jaan

sach to ye hai ham ne koshish bhi na ki tere baghair

mujh ko rone se mile fursat to phir DhunDun use

hans raha hai kaun qismat ka dhani tere baghair

jaane vaale ja ḳhuda hafiz magar ye soch le

kuchh se kuchh ho ja.egi divangi tere baghair

tere divane bhi puuje ja.enge ik din yuun hi

ho rahi hai jaise teri bandagi tere baghair

tera ‘manzar’ jo kabhi tha andalib-e-ḳhush-nava

kho gaya duniya se yuun chup saadh li tere baghair

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

nazeer-akbarabadi

Bazm-E-Tarab Waqt-E-Aish Saqi O Naql O Sharab

aijaz-asad

Gulon Pe Shabnam Nahin Lahu Hai

poet

Thi Humne Pyar Mein Har Baat Mani Kya Karte

Fareb-E-Yar Ne Chaunka Diya Tha

Tere KHayal Mein Dil Aaj Sogwar Sa Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet