qaza se qarz kis mushkil se li umr-e-baqa ham ne
mata-e-zindagi de kar kiya ye qarz ada ham ne
hamen kis khvab se lalchaegi ye pur-fusun duniya
khurach daala hai lauh-e-dil se harf-e-muddaa ham ne
karen lab ko na aluda kabhi harf-e-shikayat se
shiar apna banaya sheva-e-sabr-o-raza ham ne
ham us ke hain sarapa adbada kar us se kya mangen
uthaya hai kabhi ai muddai dast-e-dua ham ne
shahidan-e-vafa ki manqabat likhte rahe lekin
na ki arzi khudaon ki kabhi hamd-o-sana ham ne
parakhne vaale parkhenge isi meaar par ham ko
jahan se kya liya ham ne jahan ko kya diya ham ne
vahi insan jahan jaao vahi hirman jidhar dekho
bapa-e-khufta ki sayyahi-e-mulk-e-khuda ham ne
luta zauq-e-safar bhi karvan ka aise lagta hai
suna har taaza pesh-ahang ka shor-e-dara ham ne
sitam-arao sun lo akhiri bardasht ki had tak
saha har na-rava ham ne suna har na-saza ham ne
ye duzdida nigahen hain ki dil lene ki rahen hain
hamesha dida-o-danista khaai hai khata ham ne
kashakash ham se puchhe koi na-asuda khvahish ki
hasinon se bahut bandhe hain paiman-e-vafa ham ne
kiya takmil-e-naqsh-e-na-tamam-e-shauq ki khatir
jau tum se ho saka tum ne jau ham se ho saka ham ne
‘iraqi’ ki tarah ‘khalid’ ko kyuun badnam karte hain
na dekha koi aisa khush-navاa-e-benava ham ne
Leave a Reply