Phir Kya Tha Jo Parde Mein Tha Ruswa to Nahin Tha

phir kyā thā jo parde meñ thā rusvā to nahīñ thā

thā rāz-e-mohabbat magar ifshā to nahīñ thā

tum jurm-e-vafā par jo ho āmāda-e-tāzīr

ye sirf mire dil kā taqāzā to nahīñ thā

kyā soch ke aa.ī thī use dekhne ḳhilqat

kuchh ma.arka-e-ishq tamāshā to nahīñ thā

kyuuñ aa ke mire ġham kā sahārā huī ummīd

imroz kā ġham thā ġham-e-fardā to nahīñ thā

phir kis liye ma.atūb zamāna thā ‘munavār’

kahtā na ġhazal soch ke aisā to nahīñ thā

Leave a Comment