nirale nirale se ḳhvabon ka mausam
javani ka aalam sarabon ka mausam
gulabi gulabi sahabon ka mausam
nahin rahta har dam gulabon ka mausam
masarrat ki ghaḌiyan nahin Tik sakin jab
badal kar rahega azabon ka mausam
azizo ye ḳhar-e-gulistan hain shahid
zarur aa.ega phir gulabon ka mausam
faqat mausami hai ye josh-e-javani
ki barish men jaise hababon ka mausam
ghazab Dha raha hai ye shauq-e-numa.ish
qayamat hai ye be-hijabon ka mausam
guzar jaa.en din kaash hanste hansate
kise raas aaya itabon ka mausam
kama lijiye chahe jitni bhala.i
buḌhapa hai ‘nami’ savabon ka mausam
Leave a Reply