sailab ka guzar bhi to logon ki maut hai
dariya ka banjh-pan jahan nahron ki maut hai
kuchh bhi to kahna ru-ba-ru bahron ke hai fuzul
jaise ḳhala men chiḳhna chiḳhon ki maut hai
rasta saḌak talak na musafir ko den agar
mere ḳhayal men to ye galiyon ki maut hai
ankhon se niind ke sabhi asar gum-shuda
shab bhar hamara jagna ḳhvabon ki maut hai
mahaul ki hifazaten lazim hain dosto
titli ki maut asl men phulon ki maut hai
barish ho dhuup men ki dhanak asman pe ho
ankhen na hon to ye bhi nazaron ki maut hai
bikhre paḌe hain ja-ba-ja kitne hi ḳhal-o-ḳhad
ya.ani ki TuuTa aa.ina chehron ki maut hai
be-shak fasil ji uThi gaare ke vaar se
lekin ‘zaman’ ye to daraḌon ki maut hai
Leave a Reply