ujaaḌ ghar men udaas chehra tha ya.ani main tha
vo jis ki ankhon men bahta dariya tha ya.ani main tha
jo panting men hasin laḌki thi ya.ani tu thi
jo sar jhuka.e udaas laḌka tha ya.ani main tha
vo tu hai jis pe hai jhiil saif-ul-muluk marti
vo jis ki muTThi men banjh sahra tha ya.ani main tha
tum apni pahli mohabbaton ke javaz chhoḌo
vo tisra pyaar jo tumhara tha ya.ani main tha
suna hai titli ka isti.ara ghazal men tu thi
jo chand grahan ka isti.ara tha ya.ani main tha
tu shah-zadi aqiiq ka taḳht chahti thi
jo apni hasti men bhut-bangla tha ya.ani main tha
Leave a Reply