mire kuchh bhi kahe ko kaTta hai
vo apne da.ere ko kaTta hai
main is bazar ke qabil nahin huun
yahan khoTa khare ko kaTta hai
udaas ankhen pahanti hain hansi ko
phir aansu qahqahe ko kaTta hai
na mujh ko hain qubul apni ḳhata.en
na vo apne likhe ko kaTta hai
tavajjoh chahta hai gham purana
so rah rah kar na.e ko kaTta hai
vahi aansu vahi maazi ke qisse
jise dekho kaTe ko kaTta hai
Leave a Reply