mohabbat dukhon ki ik dava hai
vagarna zindagi harf-e-dua hai
andhere ka tanasub baḌh na jaa.e
koi suraj zamin pe aa gira hai
hamara haal hai azhar-minashshams
jo sab ka haal hai kis se chhupa hai
dar-e-ka.aba pe bhi pahre biThao
buton ki vapsi ka marhala hai
shikasta-pa safar ki samt kho kar
musafir raah men tanha khaḌa hai
dar aa.e jis ka ji chahe dar aa.e
sada se dil ka darvaza khula hai
musalsal aabju men rahte rahte
kanval ka phuul kuchh ukta gaya hai
jahan sadiyon se hai pyason ka mela
‘shamim’ is bazm ka shohra baḌa hai
Leave a Reply