band bahar se miri zaat ka dar hai mujh men
main nahin khud men ye ik aam khabar hai mujh men
ik ajab amad-o-shud hai ki na maazi hai na haal
‘jaun’ barpa kai naslon ka safar hai mujh men
hai miri umr jo hairan tamashai hai
aur ik lamha hai jo zer-o-zabar hai mujh men
kya tarasta huun ki bahar ke kisi kaam aae
vo ik amboh ki bas khak-basar hai mujh men
dubne valon ke dariya mujhe payab mile
us men ab duub raha huun jo bhanvar hai mujh men
dar-o-divar to bahar ke hain dhane vaale
chahe rahta nahin main par mira ghar hai mujh men
main jo paikar men andar ki huun be-tegh-o-zirah
akhirash kaun hai jo sina-sipar hai mujh men
maarka garm hai be-taur sa koi har-dam
na koi tegh salamat na sipar hai mujh men
zakhm-ha-zakhm huun aur koi nahin khuun ka nishan
kaun hai vo jo mire khuun men tar hai mujh men
Leave a Reply