kyon tirgi pe tum ko guman chandni ka hai
aḳhir ye rang ruup kahan chandni ka hai
zulmat ka ishtihar bane phir rahe hain ham
socho agar to ye bhi ziyan chandni ka hai
ye raushni ka shahr hai kaisa ki ab yahan
dekha jise bhi nauha-kunan chandni ka hai
is shahr-e-be-charagh se aao nikal chalen
vo is liye ki shor yahan chandni ka hai
na-binagi ke rog men hain mubtala vahi
‘parvaz’ jin ka apna makan chandni ka hai
Leave a Reply