• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Meri Zindagi Ka Ye Haal Tha Yahi Shakl-E-Rah-Rawi Rahi

Meri Zindagi Ka Ye Haal Tha Yahi Shakl-E-Rah-Rawi Rahi

miri zindagi ka ye haal tha yahi shakl-e-rah-ravi rahi

ki na gham ka gham hi raha kabhi na ḳhushi ki mujh ko ḳhushi rahi

na vo parda-dar hai raaz men na kisi ki parda-dari rahi

jo paḌe the parde sab uTh ga.e magar ab bhi jalvagari rahi

shab-e-hijr guzri hai kis tarah tumhen kya suna.un ye majra

main ajal ke saa.e men tha khaḌa miri sar pe maut khaḌi rahi

tiri yaad men bahut hila-ju yunhi guzre sham-o-sahar mire

kabhi din men aah se kaam tha kabhi shab men nauhagari rahi

na kisi ke dushman-e-jan hue na kisi ko dushman-e-jan kiya

yahi baat thi ki jo ghair se bhi hamesha apni bani rahi

miri hasraten mire hausle sab hi jal ke ḳhaak men mil ga.e

ye kisi ki di hui aag thi jo lagi to dil men lagi rahi

vo ghaTa ka zor kahan gaya shab-e-mah kya hui saqiya

ki na lutf-e-bazm-e-surur hai na bahar-e-bada-kashi rahi

ye navazishen tiri baghban ki kahin ka main nahin rah gaya

na vo ranj-e-daur-e-ḳhizan raha na vo fasl-e-gul ki ḳhushi rahi

miri be-kasi se jahan men na hua bhi kuchh to bahut hua

vahi bebasi to rahi magar tiri yaad dil men basi rahi

ye saval kyuun ye ḳhayal kya hai vafa to is ka ma.aal kya

yahi zikr vird-e-zaban raha yahi fikr dil ko lagi rahi

na mujhi ko apna pata mila na tujhi ko DhunDh ke pa saka

na miri ḳhabar na tiri ḳhabar ajiib ek be-ḳhabari rahi

ye maqam-e-shukr hai be-guman raha ḳhush hi ‘ḳhushtar’-e-ḳhush-bayan

na ata vajud men thi kasar na karam ki us ke kami rahi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

faiz-ahmad-faiz

Jamegi Kaise Bisat-E-Yaran Ki Shisha O Jam Bujh Gae Hain

Jab Jab Main Zindagi Ki Pareshaniyon Mein Tha

shahnaz-parveen-shazi

Mothers day Par

Bagh Mein Jugnu Chamakte Hain Jo Pyare Raat Ko

Bahar Hisar-E-Dard Se Aana Na Tha Kabhi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet