• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Mein Sochta Hun Jise Aashna Bhi Hota Hai

Mein Sochta Hun Jise Aashna Bhi Hota Hai

men sochta huun jise ashna bhi hota hai

magar ḳhayal se vo mavara bhi hota hai

siva.e sha.iri zindan men kuchh kiya hi nahin

vagarna band-e-qafas kholna bhi hota hai

ziyada-tar main anasir se duur dekhun use

vo ḳhaak o atish o aab o hava bhi hota hai

main TuuT jaata huun aur duur ja bikharta huun

agar juda.i ka sadma zara bhi hota hai

har ek raste par ham to ja ke dekhen magar

jidhar na jaana ho vo rasta bhi hota hai

usi ke dar ke faqat ho ke rah ga.e hain ham

suna hai jab se ki darvaza va bhi hota hai

‘zafar’ vahan ki jahan ho koi bhi had qaa.em

faqat bashar nahin hota ḳhuda bhi hota hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Na KHat Likhe Na Diye Un Ko Tar Ab Ke Baras

faiz-ahmad-faiz

Fikr-E-dildari-E-Gulzar Karun Ya Na Karun

Shama Mein Soz Ki Wo KHu Hai Na Parwane Mein

bichhaD Gaya Hai to Ab Us Se Kuchh Gila Bhi Nahin

poet

Aaine Ke Aks Se Gul Sa Badan Maila Hua

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet