• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / In Sahme Hue Shahron Ki Faza Kuchh Kahti Hai

In Sahme Hue Shahron Ki Faza Kuchh Kahti Hai

nasir-kazmi

in sahme hue shahron ki faza kuchh kahti hai

kabhi tum bhi suno ye dharti kya kuchh kahti hai

ye thithuri hui lambi raten kuchh puchhti hain

ye khamushi avaz-numa kuchh kahti hai

sab apne gharon men lambi taan ke sote hain

aur duur kahin koyal ki sada kuchh kahti hai

jab raat ko taare baari baari jagte hain

kai duube hue taron ki nida kuchh kahti hai

kabhi bhor bhae kabhi shaam pade kabhi raat gae

har aan badalti rut ki hava kuchh kahti hai

mehman hain ham mehman-sara hai ye nagri

mehmanon ko mehman-sara kuchh kahti hai

bedar raho bedar raho bedar raho

ai ham-safaro avaz-e-dara kuchh kahti hai

‘nasir’ ashob-e-zamana se ghafil na raho

kuchh hota hai jab khalq-e-khuda kuchh kahti hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sufi

Laila Aur Shirin

poet

Mein Aashiq Hun Mujhe Maqtal Mein Apna Nam Karna Hai

poet

Bhauwen Chadhi Hain Aur Hai Tewar Jhuka Hua

Kho Gae Yun Kar-KHane Ya Kisi Daftar Mein Hum

Lamha-Dar-Lamha Guzarta Hi Chala Jata Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet