hava ki zad pe charagh-e-shab-e-fasana tha
magar hamen bhi usi se diya jalana tha
hamen bhi yaad na aa.i bahar-e-ishva-taraz
use bhi hijr ka mausam bahut suhana tha
safar azaab sahi dasht-e-gumrahi ka magar
kaTi tanab to ḳhema ujaḌ hi jaana tha
hamin ne raqs kiya naghma-e-fana par bhi
hamen hi palkon pe hijrat ka baar uThana tha
usi ki guunj hai tar-e-nafas men ab ke miyan
sada-e-hu ko bhi varna kise jagana tha
ham aise ḳhak-nashinon ka zikr kya ki hamen
lahu ka qarz to har haal men chukana tha
vo mere ḳhvab chura kar bhi ḳhush nahin ‘ajmal’
vo ek ḳhvab lahu men jo phail jaana tha
Leave a Reply