yaaro har gham gham-e-yaran hai qarib aa jaao
pyaro phir fasl-e-baharan hai qarib aa jaao
duur ho kar bhi sunin tum ne hikayat-e-vafa
qurb men bhi vahi unvan hai qarib aa jaao
ham mohabbat ke musafir hain kahin dekh na len
dhaat men gardish-e-dauran hai qarib aa jaao
jaan pyari hai ki tum bhi ho miri jaan ke saath
gham-e-jan hi gham-e-janan hai qarib aa jaao
aaj duniya ko nahin apne ghamon se fursat
aaj mil baiThna asan hai qarib aa jaao
kis muravvat pe zamane se Daren duur rahen
aao allah nigahban hai qarib aa jaao
mere hi pahlu-e-sozan men sakun mumkin hai
char-su gardish-e-dauran hai qarib aa jaao
jaao ab jaao ki vo ahd-e-vafa ḳhatm hua
jab bhi dekho ki phir imkan hai qarib aa jaao
main zamane ki kaḌi dhuup ka maara huun ‘zafar’
tum kahan ho chamanistan hai qarib aa jaao
Leave a Reply